Tally Me Sale Bill Kaise Enter Kare
Hello Dosto,
Aaj Mai aap ko Tally Me Sale Bill Kaise Enter Kare Is Ke Bare Me Jankari du ga.
Aap Jab Koi New ComPany Bana Late Hai To Usme Dusra Kaam Hota Hai Ki Apni Company Me Jo Bhi Sale Ho Raha Ho Usko Kaise Enter Kiya Jaye Taki Aap Ko Pata Chal Jaye Ki Hamari Company me Kitna Sale Hua or Kya Sale Hua.
Jab Aap Ko Ye Pata Chal Jaye Ga Tab Aap Apni Compani Ke Sabhi Items ke Bare me jaan paye ge ki hamari Company ne Kya - Kya Sale Kiya Hai Or Ab Usme Raw Matarial or Finished Matarial Kitna Hai .
Internet Se Paise Kaise Kamaye
Tally Me New Company Kaise Banaye
Sale Ka Vouchers Enter Karne Se Pahle Jante Hai Finished Matarial Kya Hota Hai.
Finished Matarial Hamari Company Me Jo Bhi Product (Item) Banta Hai Or Jo Sale Hota Hai Direct Party Ko Lakin Packing Ke Pahle Jo Matarial Taiyar Hota Hai Usko Finished Matarial Ya Finished Product Kahte Hai .Ex Ke Liye Agar Hamari Company Shoes (Juta)Banati Hai to Packing Karne Se pahle Hamare Pass Jute (Shoes) Ke Pair (Jode) Taiyar Hote Hai Unko Finished Matarial kahte Hai.
Ab aate Hai Apne Point Par.Sale Ke Bill Kaise Enter Karte Hai Tally Me.
Step - 1 Open Company Icon & Open Company
Sabse Pahle Ham Tally Ke Icons Ko Doboul Click Karte Hai Jaise Ki Mai Pahle Bata Chuka Hu. Ek Window Khule Ga Usme Aap Ko Select Company Par Enter Karna Hai. Ab Aap Ko apne dwara Banayi Company Dikhne Lage Gi Uspar Enter Kar ke Apni Company Select kariye
Uske Baad Ek Dusra Vindow Khule Ga Jaha Par Aap User ID or Password Dale Ge Jo Password Aap Ne Company Banate Samay Dala Tha or Wahi User Bhi Dale Ge Jo Pahle Dala The Company Banate Samay.
Free Me Website Kaise Banaye
Freedom 251 Smartphone Kaise Book Kare
Ab Chalte Hai Step No -2 Par
Step No -2 Enter Sale Vouchers
To Aayiye Samajhte Hai In Dono Ko Ki Kya Hote Hai Group or Ledger.
Group : - Group Wo Hota Hai Jab Ham Kishi Party Ko Sale karte Hai To Wo Party Bahut Sari Hoti Hai or Alag - Alag Jagah Ki Bhi Hoti Hai Lakin unko alag alag na likh kar ek Kaitagari me daal dete hai Jaise Sundery Craditer & Sundery Debtor ( Sundery Craditer & Debtor Kya Hote Hai Yaha Click Kar Ke Samajh Sakte Hai )Bahut Tarah Ki Party Hoti Hai un sabhi tarah ke Party ko alag alag na likh kar usko ek Group me daal dete hai jab bhi ham Party Group Khole ge tab Sari ki Sari Party List Dikhne Lage Ge.To aap samajh gaye Ho Ge Ki Group Kya Hota Hai.Ek hi tarah me sabhi Party Ko ek sath rakhne ke liye jo main hota hai usko Group Kahte Hai.
Isko Banane Ke Liye Group me Enter Kare Ge or jis group me rakhna ho ga usko select kare ge or uske baad accseep kar le ge
Ledger :- Ledger Wo Hota Hai Jo Group Ke ander ki Party Hoti hai Jo Bahut Sari Hoti Hai . isko Banane Ke Liye Jab aap Ledger me enter kare ge to ek Window Khule gi.Usme Party Ka Naam Or Second Colom me Group( Craditer Ya Debtor ) ka Naam Daal Kar Enter Mar Kar Accsept Karwa de Ge .Lo Ban Gaya Ledger.
Bina Sim Card Ke Whatsapp Kaise Chalaye
Ab Chalte Hai Apne Main Point Par
Ref - Isme Bill Ka Number Dalna Hai or Ha Isse Pahle Aap "F2" Daba Kar Bill Ki Date Select Kar Le
ab Uske Baad aap ko item Select karna Hai Jo Aap Ne Second Ledger Me Banaya the aap ko uski quantity or uska rate bharna Hai total wo apne aap kar le ga .
ab uske baad aap ko Sale Tax Select Karna Hai jo Bhi Tax aap ka bill me laga ho "4 % " Ya "2%" Ya "12"
Note: - Sale Tax or Sale Ledger Dono alag Alag Hote Hai Upar Ledger Karna Hai or Niche Tax Wala Sale Karna Hai Jo Is Prakar Karna Hai (Tax 4% Sat 1%)
or aap uske baad enter maar kar bill ke bare me black box me kuch bhi likh sakte hai uske baad eneter enter maar kar select kar de
lo ji ho gaya enter aap ka Sale Bill
Aap Ko Hamara Ye Blog Kaisa Lag Likhna Na Bhuliye Ga.Agar Kishi Bhi Tarah Ki Paresani Hoti Hai to Aap Hamko Comment Kar Sakte Hai.
Aap Ka Apna
Aman Mastana Katiyar
if You require pvt ltd registration bangalore
जवाब देंहटाएंand company registration online bangalore
pvt ltd company registration fees bangalore
then plz click on it to visit our site.
thanks
जवाब देंहटाएं