सोमवार, 14 मार्च 2016

Apne Android Phone ko root kaise kare

Hello Dosto,
Apne Android Fhone ko root kaise kare

Aaj Mai Aap Ko ek Nayi Jankari Dene Ja Raha Hu Ki Apne Android Phone ko Root Kaise Karte Hai .Root Karne Ke Kuch Fayde Hai Jaise Is Phone ko Ham Full Customise Kar Sakte Hai.Or Root Kiye Hue Phone Me Ham Hight Label Ki Application Chala Sakte Hai.

To Aap Samajh Hi Gaye Hoge ki Kis Tarah Se Ham Apne Mobile ko root Karne ke Baad Kya Or Kaise Bana Sakte Hai aaj Mai Aap Ko Yaha Par Apne Android Phone ko Root Kaise Kare Iske Bare Me Batane Ja Raha Hu.


Aap Se Pahle Mai Ek Baat Bata Du Jo Ki Aap Ko Janni Bahut Jaroori Hai.Wo Ye Hai Ki Root Karne Se Pahle Isko Puri Tarah Samajh Le Warna Agar Koi Galti Ho Jati Hai to Aap Ka Mobile Crash Bhi Ho Sakta Hai.

Aap Samajh Hi gaye Hoge ki root karne ke liye ye aap ka mobile kharab bhi ho sakta hai agar aap isko sahi se samajh kar karte hai to is tarah ki koi bhi problam nahi aane wali hai.or ek baat jo sabse acchi hai ki root karne ke baad aap ke mobile par aap ka pura control ho jaye ga.



Agar Aap Apna phone Root Karte Hai to Aap Ko Uska Pura ka Pura Control Mil Jata Hai to Aap Usme Custum ROM Bana Sakte Hai.


Market Me Ya Online bahut se soft ware hai jisse ham apne phone ko root kar sakte hai lakin yaha mai aap ko jo software bata raha hu uska naam kingoapp hai aap ko agar iski site par jana hai to aap jaha Kingoapp likha hai waha click kare.Uska Window kuch Is tarah Najar aaye ga.

Down Load Karne Ke liye bhi upar diye hue link se ja sakte hai is software se ye fayda hai ki aap iske dwara root karte hai to aap ko risk kam hota hai or isme jab ap ka phone puri tarah se root ho jaye ge tab unroot karne ka bhi option aata hai to aap samajh sakte hai ki isme aap ke phone ko risk kam hai .


Ek or Baat Hai jo Sabse Jaroori Hai ki root Karte Samay aap ka mobile band nahi hona cahiye .ye full charge hona cahiye nahi to aap ka mobile kharab ho sakta hai

agar aap ke mobile me jo bhi data hai or wo bahut hi jaroori data hai ya song hai ya kuch or hai usko kahi copy kar le nahi to wo format bhi ho sakta hai

Is software se aap apna PC ya laptop ya mobile kuch bhi root kar sakte hai.

Lakin Yaha Par Aap ko apna Mobile Root karna sikha rahe hai to aayiye chalte hai apne main point par.yaha par mai aap ko step by step batane ja raha hu aap sahi se samajh le uske baad root kare apne mobile ko
Step 1:- Is Software ko apne computer ya Laptop me stall kare le agar aap ko download karna hai to yaha par click kar ke bhi ja sakte hai Kingoapp Download



Step 2:-Phone ki setting me jaye or waha par USB Debugging Mode unable kare .uske baat setting me jakar Developer option par click kare jaisa niche photo me dikhaya gaya hai



Apne computer ka kingo root option open kare or apna mobile me USB Cable Lagaye or Apne Computer Se Connet Kare


Step 3:-iske baad root button par click kare or 15-20 minut intazar kare thodi hi der me aap ka mobile root ho jaye ga Jaisa ki niche photo me diya gaya hai



To Ab Aap Ko Kewal Wait Karna Hia Or Ha Iske Sath aap ko apne Internet bhi chalu rakhna hai to ab aap ka mobile root ho gaya hai agar aap ko unroot karna hai to uska bhi option aa jaye ga aap waha se unroot bhi kar sakte hai.

Aap Ko Ye Jankari Kaisi lagi agar pasand aayi ho to isko share kare or agar aap ko kisi bhi tarah ki paresani hoti hai to aap hamse puch sakte hai

Aap Ka Apna 

Aman Mastana Katiyar

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Mai Aap Ki Madad Business Startup Karne ,Tally Ki Jankari Karne, or Entertainment ,Karne Me Karu Ga Agar Aap ko Koi Comment Karna Hai To Neeche Box Me Comment Kare

All Papuler Blog's