सोमवार, 11 अप्रैल 2016

Kaise Banta Hai Adsense Accounts

Kaise Banta Hai Adsense Accounts
Hello Dosto ,

Aaj Mai Aap Ko Paise Kamane Ke Liye Adsense Accounts Kaise Banta Hai Or Ye Kitne Tariko Se Banaya Ja Sakta Hai Iske bare Me Batane Ja raha Hu . kyo Ki Har Blogger Cahta Hai Ki Jab Koi Blogger Apna Koi Blog Dalta Hai Ya Publise Karta Hai To Log Usko Read Karte hai Lakin Blogger Ko Kuch Nahi Milta hai .Is Liye Har Ek Blogger Cahta Hai Ki Uske Badle Usko Bhi Kuch Milta Rahe To Uska Man Bhi Blog Karne Me Laga Rahe Ga.

To Har Ek Blogger ke Liye Hamari Ye Post Bahut Hi Jaroori Hai.Agar Koi Blogger Hamari Is Post Ko Step By Step Fallow Kare Ga To Wo Apna Accounts Adsens Par Bana Le Ga Or Uske Baad Uski Earning Suru Ho Gi Adsense Se.

To Aayiye Chalte Hai Adsense Me Apna Accounts Kaise Banaya Jata Hai Iske Bare Me Jante Hai .Aap Agar Cahe To Step By Step Hamko Fallow Kar Sakte Hai.

Adsense Account 2 Tarike Se Banta Hai .isme Yutube Ke Dwara Bhi Ya Accounts Banaya Jata Hai or Blogger Se Bhi ye Accounts Banaya Ja Sakta Hia. Dono Ke Liye Ye Accounts Bahut Hi Jaroori Account Hai Kyo Ki Paise Kamane Ke Liye Is Accounts Ka Hona Bahut Jaroori Hai.Waise To Kai Tarike Hai Lakin Ye Sabse Accha Hai.


Sabse Jaroori Baat Ye Hai Ki Adsense Accounts Banane Ke Baad agar Uske Niyamo Ka Palan Nahi Karte Hai To Aap Ka Ye Accouns Block (Band ) Bhi Ho Sakta Hai Or Ye ek User Ke Liye 1 Hi Account Banta Hai.

Kya -Kya Cahiye Adsense Accounts Banane Ke Liye : - 

     1) Aap Ka Apna Gmail Accounts
     2) Aap Ka Apna Website Ya Blog
                        OR
          Aap Ka Apna Yutube Accounts (Dono Me Se Ek )

 1. Agar Aap Ke Pass Gmail Accounts Hai To Bahut Hi Accha HaiOr Agar Nahi Hai To Yaha              Click Kare  Kar Ke Apna Accounts Bana Le .


2. Agar Aap Ke Pass Blogger Accounts Hai Ya Website Accounts Hai To acchi Baat Hai Agar           Nahi Hai To Website-kaise-banaye Yaha Se Jankari Kar Sakte Hai . or Agar Aap Account             Banana Cahte Hai to Blogger Me Free Me Account Banaye Yaha Par Click Kar Ke Bana             Sakte Hai .


Ab Chalte Hai Apne Main Point Par. Adsense Accounts Banane Ke Liye Aap Ke Website Ya Blog Par Daily 300 Pagevews Hone Cahiye to aap Se Mai ye Kahna Cahu Ga Ki Aap phle Apne Blog Ya Website Ki trafic Badhaye Uske Baad Ye Accounts Banaye Tabhi Aap Ko Kuch Profit Hoga.

Step - 1 : -   Sabse Pahle Adsens Site Para Jaye .Site Par Jane Ke Liye Yaha Ckick Kare Agar Aap Ke Pass Blog Hai to Usme Aap Ke Deshbord Me Diya Hota Hai Adsense Me Jane Ke Liye Waha Se Jaye .

Step 2 : - Waha Sign Up Now Par Click Kare Kuch Niche Diye Gaye Window Ki Tarah 


Step 3 : - Ab Ek Naya Window Khule Ga .Jisme Aap Ko Apna Gmail Accounts Dikhe ga .


Agar Aap Apne Bani Hui Gmail Id Se Banana Cahte Hai to Yes Par Click Kare Or Agar New Gmail Se Banana Cahte Hai To 2nd Option Creat Use Anothers Accounts Par Click Kare

Step 4 :- Yaha Par Aap Ko Apni Website Ka Link Dalna hai Niche Diye Gaye Image Ki Tarah .



                Iske Baad Continue Par Click Kare. Uske Baad Aap Ke Samne Ek Window khule Gi Jisme Aap Ko Apni Information Sahi -Sahi Dalni Pade Gi.Kyo Ki Agar Aap Galat information Dete Hai To Aap Ko Future Me Problam Aaye Gi .Aap Ke Pass Ek Couriers Aaye Ga Google Se jisme Aap ka Address Confirmation Hoga.Uske Baad Aap Ka Kaam Aage Badhe ga.


Uper Diye Gaye Window Me Aap Ko Apni Information Dalni Hai Kuch Is Image Ki Tarah

1.Yaha Par Aap Apne Country Select Kare
2.Apni Country Ka Time Zone Select Kare India Ka time zone +05.30 Hai
3.Agar Aap Business Karna Cahte Hai To Business Select Kare
4.Apni Company Ka Naam Likhe Jisse Aap Ka Bank Account Hona Cahiye
5.Apna Sahi Address Dale Warna Problam Aaye Gi aap Ko Future Me
6.Apne City Ka Sahi Naam Bhare
7.Apne State Ko Select Kare 
8.Apna Pin Code Enter Kare
9.Yaha Par Aap Asli Naam Bhare Waise Aap Koi Bhi Bhar Sakte Hai.
10.Apna Mobile Number Dale Jo Chalu Ho Agar Veryfy Nahi Hai To Usko Veryfy Kare Le jo            Aap Msg Ya Call Me Se Koi Bhi Option Par Ja Kar Kar Sakte Hai
11.Aap Ke Account Banane Ka Karan Select Kare Agar Aap Blog Ke Liye Bana rahe Hai                  To  "Online Forum or Blog " Par Click Kare.
12.Yah Sabhi Jagah Yes Par Click Kar De.
13.Agar Aap Ki sari Jankari Sahi Hai To Submit My Application Par Click Kare De.

Lo Gi Ban Gaya Aap Ka Adsense Accounts .Ab Isko Aproved Hone Me Kucj Time Lag Sakta Hai Ho Sakta Hai Ki 2-5 Din Bhi Lag Jaye .Jab Ye aproved Ho Jaye Ga To samajh Lijiye Aap Ki Earning Suru Ho Jaye Gi.

Aap Ko Hamara Ye Blog Kaisa Laga .Batana Na Bhuliye Ga .Agar Pasand Aaya ho to Apne Dosto Ko Bhi Bataye.

Agar Koi Paresani Aati Hai To Aap Hamko niche Comment Kara Sakte Hai.

Aap Ka Apna

Aman Mastana Katiyar

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Mai Aap Ki Madad Business Startup Karne ,Tally Ki Jankari Karne, or Entertainment ,Karne Me Karu Ga Agar Aap ko Koi Comment Karna Hai To Neeche Box Me Comment Kare

All Papuler Blog's