मंगलवार, 29 मार्च 2016

Ek Mobile me 3 Whatsapp Kaise Chalaye

Hello Dosto,
Ek Mobile me 3 Whatsapp Kaise Chalaye

Aaj Mai Aap Ko Batau Ga ki Ek Mobile me 3 Whatsapp Kaise Chalaye. whatsapp kaya hai ye to aap logo ko batane ki koe jarurt hi nahi hai kyon ki aaj kal to sabhi Bhai jante hai ki whatsapp message send aur receive karne ka bahut bara social network site ban chuka hai.

 Mai janta hu ki aap sabhi log whatsapp use karte hai par kaya aap jante hai ki ek hi android mobile me do whatsapp account  kaise Chalaye.. Agar nahi jante hai to phir chaliye aaj hum jaan lete hai ki ek hi android mobile me do whatsapp account kaise install ya activate kare..

Kya Aap Jante Hai ki Ham Apne Mobile me 1 Nahi 2 nahi Balki 3 Whatsapp Chala Sakte Hai.


Kya - Kya Cahiye 3 Whatsapp Chalane Ke Liye :-
                                    Aap Ko 3 Whatapp Chalane Ke Liye aap ko 3 alag - alag apps Bhi Download Karne Hoge..
             
     Step 1-: Sabse pahle Play Store se Whatsapp(com.whatsapp) ka official App Download kare. Iske baad thoda chat kare aor iske baad apni chat ka backup kar le.
Backup ke liye-: Apne Whatsapp ke Settings me jaye aor phir >> Chat Settings >> Back up Chats
Step 2-: Iske baad Mobile ki settings me jaye aor phir Whatsapp(com.whatsapp) iske baad Clear Chat kar de.
Step 3-: Ab yaha se doosra Whatsapp(com.whatsfapp) Download kare aor isko Install kare. Download Karne Ke Liye Yaha Click Kare

Step 4-: Is App ko download karne ke baad Install kare aor apne pahle waale number se register kare aor thoda chat kare.
Is App me wahi number use kare jo aapne 1st Whatsapp(com.whatsapp) me use kiya tha. jab aap usko install karege to aapko Restore Chat ka option aayega kiyoki aapne pahle waale number ki chat ka Backup bana liya tha.
Step 5-: Ab iske baad Whatsapp ki official app ko apne 2nd mobile number(com.whatsapp) se register kare aor thoda chat kare.
Note-: Agar aap sirf 2 Whatsapp chalana chahte hai to aapko aage ki Steps follow karne ki jaroorat nahi hai aor agar aap 3 Whatsapp chalana chahte hai to Steps follow kare…

Step 6-: Iske baad aap apne 1st Whatsapp(com.whatsapp) ka Backup dobara kare iske baadClear Chat kare jaisa ki Step 2 me hai.
Step 7-: Iske baad yaha se 3rd Whatsapp application(cum.whatsfapp) Download kare.Download Karne Ke Liye Yaha Click Kare


Step 8-: Is App ko download karne ke baad Install kare aor apne doosre waale number se register kare jo aapne Whatsapp ki official app(com.whatsapp) me use kiya tha.
Is App me wahi number use kare jo aapne 2ndWhatsapp(com.whatsapp) me use kiya tha. jab aap usko install karege to aapko Restore Chat ka option aayega kiyoki aapne doosre waale number ki chat ka bhi Backup bana liya tha.



Step 9-: Iske baad Whatsapp ki official app (com.whatsapp) [jo aapne play store se download ki thi] usme apna 3rd nnumber register kare…….
Note-: Agar aap ek Android Mobile me 3 Whatsapp ka maja lena chahte hai to saare step sahi se kare jaisa ki maine bataya hai.       

Aap Ko Hamari Ye Post Kaisi Lagi Batana Na Bhuliye.Agar pasand Aayi Ho To Apne Dosto Ko Share Kare

Agar koi Paresani Aa Rahi Ho To Nicche Comment Box me Comment Kare

Aap Ka Apna

Aman Mastana Katiyar

1 टिप्पणी:

Mai Aap Ki Madad Business Startup Karne ,Tally Ki Jankari Karne, or Entertainment ,Karne Me Karu Ga Agar Aap ko Koi Comment Karna Hai To Neeche Box Me Comment Kare

All Papuler Blog's