बुधवार, 30 मार्च 2016

Kya Hote Hai Sundery Craditer & Debtor

Kya Hote Hai Sundery Craditer & Sundery Debtor

Hello Dosto,

Aaj Mai Aap Ko Batane Ja Raha Hu Sundery Craditer,Sundery Debtor Kya Hote Hai , Aap Ko Purchase Ya Sale Bill Tally me Emter Karne Se Pahle Basic Knowledge Honi Cahiye Taki Aap Ko Tally me Ya Accounting Me Kisi Bhi Tarah Ki Koi Paresani Na Aaye.

           Basic Jankari Karne ke Liye Hamare Accounting Ki Sari Post Padhte Rahe or Accounting Ki Sari jankari Karte Rahe Mai Wada Karta Hu Ki Aap Ko Accounting Ki Sari Jankari Deta Rahu Ga.Fir Wo Tally Ki Ho Ya Other Koi Bhi Accounting Ki Ya Internet Ki ya Taxas Ki Lakin Sabhi Ke Liye Basic Jankari jaruri Hai.






            Accounting Ki Jankari ke Liye Hi Maine Ye Blog Suru Kiya Hai.to Abhi Mai is Post Me Aap Sabhi Ko Batane Ja Raha Hu ki Ledger ,Sundery Craditer,Sundery Debtor Kya Hote Hai.


To Aayiye Chalte Hai Apne Topic Par.

Kya Hote Hai Sundery Craditer :-

       Sundery Craditer ek tarah se hamari Libalties ( Libalities  Kya Hoti Hai Iske Bare Me Aap Ko Baad Me Batau Ga ) hoti hai Sundery Craditer ka matlab hai hamse paisa lene wale.jab ham apni company me manufactring (Item ya Product Banane ke Liye)ke liye koi bhi Row Matarial (Kaccha Maal) Kharidte Hai (Puchase Karte hai)uske Badle me hamko Paisa Ya Chque Deni padti hai aise logo ko Ham Crediter Kahte Hai,



Kya Hote Hai Sundery Debtors :-

           Sundery Debtors ek tarah se hamari Assets (Assets Kya Hoti Hai Iske Bare Me Aap Ko Baad Me Batau Ga ) hoti hai Sundery Debtors ka matlab hai hamko paisa dene wale.jab ham apni company ka finish product (apni Company Ka Saling Item Ya Producy Jo Ham Bechte Hai )Kharidata Hai or Uske Badle Me Hamko Cash Ya Chque Ke Roop Me Paisa Deta Hai Aise Bando Ko Ham Sundery Debtor Kahte Hai


Kise Bante Hai Sundery Craditer & Sundery Debtors Tally me :-

           Sabse Pahle Aap Ko Tally Open Karni Hai Or Apni Company Select Karni Hai usko Kholna Hai Jaise Mai Aap ko pahle Bhi Bata Chuka Hu >> Go To Account Info >>Ledgers >>Create 




Jaisa Ki Aap Image Me Dekh Rahe Hai Kisi Bhi Ledger Ko Banane ke Baad Jo Option Aata hai Usme Hamko Sundery Craditer Select Kiya Hua Hai Matlab Ki Wo Party Hamari Sundery Craditer Hai

Note : - Isi Tarah Se Ham Sundery Craditer Ki Jagah Par Sundery Debtor Select Kar Ke Apne Sundery Debtor Bana Sakte Hai Ya Ye Bhi Kag Sakte Hai Ki Apne Craditer Ya Debtor Ke Ledger Bana Sakte hai.



Kaha Se Dekhte Hai Apne Craditer or Debtors ki List :-

             Sabse Pahle Aap Ko Tally Open Karni Hai Or Apni Company Select Karni Hai usko Kholna Hai Jaise Mai Aap ko pahle Bhi Bata Chuka Hu >> Go To Disply >>Account Book >> Group Summary >> Type Sundery Crediter >> Enter >> Yaha Craditer Ki List Khul Jaye Gi.


Note :-Isi Tarah Ham Sundery Debtor Ki List Dekh Sakte Hai

>> Go To Disply >>Account Book >> Group Summary >> Type Sundery Debtors >> Enter >> Yaha Debtors Ki List Khul Jaye Gi.



Note : - Lakin Yaha Par List Tabhi Show Ho gi Jab Aap Ki Company Me Purchase & Sale Ke Bill Inter          Hoge.Jisa Ki Aap Image Me Dekh Sakte Hai

Aap Ko Hamari Post Kaisi Lagi Agar Pasand Aayi Ho to Apne Dosto Ko Share Karna Na Bhule

Agar Kisi Bhi Tarah Ki Paresani Aaye Ya Samajh Me Na Aaye To Asap Hamko Nicche Comment Box Me Apna Comment Kar Sakte hai

Aap Ka Apna

Aman Mastana Katiyar

4 टिप्‍पणियां:

Mai Aap Ki Madad Business Startup Karne ,Tally Ki Jankari Karne, or Entertainment ,Karne Me Karu Ga Agar Aap ko Koi Comment Karna Hai To Neeche Box Me Comment Kare

All Papuler Blog's