Hello Dosto,
Tally Me Kitne Tarah Ke Group Hote Hai
Aaj Mai Aap Sabhi Ko Batau Ga Ki Tally me Kitna Tarah Ke Group Hote Hai, Jaisa Mai Aap Ko Pahle Bata Chuka hu Ki Purchase Bill Kaise Enter Kare Tally Me Waha Par Maine Aap Group Ke Bare Me Bataya Tha.to Aaj Mai Usko Detail Me Batane Ja raha Hu Taki Group Kya Hota Hai Ye Aap Acchi Tarah Se Samajh Sake,
Aaj Mai Aap KO Bata Du Ki Tally Me Group 2 Tarah Ke Hote Hai
1).Ledger Group
2).Items Group
Ab Aap Soch Rahe Hoge Ki Ye Ledger Group Kya Hote Hai Or Items Group Kya Hote Hai.To Ghabraiye Mat Mai Yaha Par Dono Ko Batau Ga Ki Dono Me Kya Anter Hota Hai.To Aayiye Chalte Hai Apne Pahle Group Ki Taraf Jiska Naam Hai Ledger Group.
Ledger Group : -
Ledger Group Wo Group Hote Hai . Jisme Ham Kisi Bhi Parson Ya Company Ko Janane Ke Liye Ya Apni Company Ki Lendar or Dendar (Debtor & Craditor) Ya Hamri Company Ki Assets (Fix Asstes & Current Assets ) Ya Bank Expence (Direct Ya Indirect Exp) In Sab Cheejo Ke Bare Me Jaan Sakte Hai Jaise Ki Aap Nicche Ki Image Me Dekh Sakte Hai.
Ye Sabhi Group Me Aate Hai.Jo Bhi Aap Ko Image Me Show Ho Raha Hai or Bhi Bahut Tarah ke Group Hote Hai.Aap Isme Apne Suvidha Ke Anusar Bhi Aap Group Bana Sakte Hai Jaisa Ki Aap Ko Jaroorat Ho.
Ledger Group me Kaise Jaye or Kaise Banaye Banaye : -
Ledger Group me Jane Ke Liye Aap Ko ye Step Karni Pade Gi .
Sabse Pahle Aap Tally Ka Icon Open Kare > Uske Baad Aap Apni Banayi Company Ko Select Kare Agar Ek Hi Company Hai To Koi Baat Nahi Usi Ko Select Kare. > Fir Uske Baad Master Ke Niche AAp Ko Accounts Info Show Hoga Uspar Click Kare > Uspar Enter Mare > Uske Baad Aap Ko Accounts Info Me Group Dikhe Ga > Uspar Enter Mare > Uske Ander Aap Ko 3 Option Show Hoge Unme Aap Apne Group Bana Sakte Hai Ya Kewal Dekh Sakte Hai Ya Galat Hone Par Badal Sakte Hai Jaisa Ki Aap Image Me Dekh Rahe Hai.
Create :-
Isme Aap Apni Company ka Koi Bhi Naya Group Bana Sakte Hai Jaisa Ki aap Image Me Dekh Rahe Hai
Display :-
Isme Aap Apni Company ka Koi Bhi Group Dekh Sakte Hai Jaisa Ki aap Image Me Dekh Rahe Hai
Alter :-
Isme Aap Apni Company ka Koi Bhi Group Ko Badal Sakte hai agar koi galti Hui Hai Jaisa Ki aap Image Me Dekh Rahe Hai
Note :- Isme Aap Singal -Singal Ya Multi Group Ek Sath Bana Sakte Hai
To Aap Samajh Gaye Ho Ge Ki Ledger Group Kya Hota Hai.to Ab Chalte Hai Apne Dusre Tarah Ke Group Items Group Ki Taraf .
Items Group : -
Items Group Wo Group Hote Hai . Jisme Ham Kisi Bhi Tarah Ke Item Jo Ki Hamari Company Me Use Hote Hai hamara Sale Karne Ke Liye Product Banane Ke Liye Fir Wo Row Matarial (Hamari Company Me Jo Product Banta Hai Usme Use Kiya Jane Wala Matarial Row Matarial Hota Hai ) Ho Ya Finish Matarial ( Ye Wo Matarial Hota Hai Jo Hamari Company Ka Sale Karne Ke Liye Taiyar Hua Hota Hai ) or Jo Koi Alag Tarah Ka Items Hote Hai Un Sab Ko Ek Sath Dekhne Ke Liye Jo BHi Ham Group Banate Hai Usko Items Group Kahte Hai.
Note : -Samajhne Ke Liye Row Matarial Hamara Hamara Group Hai Inke Ander Jo Bhi Matarial Hamare Product Banane Ke Liye Use Kiya Jata Hai Ex - Dhaga ,Kapda,Gum,Iron,Ya Kuch Or Ye Sab Row Matarial Me Aate Hai To Row Matarial Hamara Group Hai or Ye Sab Ledger Hai .Ledger Kya Hote Hai Or Kitne Tarah Ke Hote Hai Wo Mai Aap Ko Aage Ki Post Me Batau Ga
Items Group me Kaise Jaye or Kaise Banaye Banaye : -
Sabse Pahle Aap Tally Ka Icon Open Kare Agar Pahle Se Open Hai to Rahne De > Uske Baad Aap Apni Banayi Company Ko Select Kare Agar Ek Hi Company Hai To Koi Baat Nahi Usi Ko Select Kare. > Fir Uske Baad Master Ke Niche AAp Ko Inventory Info Show Hoga Uspar Click Kare > Uspar Enter Mare > Uske Baad Aap Ko Inventory Info Me Stock Group Dikhe Ga > Uspar Enter Mare > Uske Ander Aap Ko 3 Option Show Hoge Unme Aap Apne Group Bana Sakte Hai Ya Kewal Dekh Sakte Hai Ya Galat Hone Par Badal Sakte Hai Jaisa Ki Aap Image Me Dekh Rahe Hai.
Isme Aap Apni Company ka Koi Bhi Naya Ledger Bana Sakte Hai Jaisa Ki aap Image Me Dekh Rahe Hai
Display :-
Isme Aap Apni Company ka Koi Bhi Ledger Dekh Sakte Hai Jaisa Ki aap Image Me Dekh Rahe Hai
Alter :-
Isme Aap Apni Company ka Koi Bhi Ledger Ko Badal Sakte hai agar koi galti Hui Hai Jaisa Ki aap Image Me Dekh Rahe Hai
Note :- Isme Aap Singal -Singal Ya Multi Ledger Ek Sath Bana Sakte Hai Lakin Mai To Bolu Ga Ki Aap Singal Singal Hi Banaye To Behtar Hoga.
To Aap Samajh Gaye Hoge Ki Item Group Or Ledger Group Kya Hote Hai Agar Uske Baad Bhi Koi Paresani Hoti Hai Group Banane Me To Aap Hamse Nicche Comment Kar Ke Puch Sakte Hai.
Aap Ko Ye Post Kaisa Laga Agar Pasand Aaya Ho to Share Karna Na Bhule Or Pane Dosto Ko Bhi Bataye
Aap Ka Apna
Aman Mastana Katiyar
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें
Mai Aap Ki Madad Business Startup Karne ,Tally Ki Jankari Karne, or Entertainment ,Karne Me Karu Ga Agar Aap ko Koi Comment Karna Hai To Neeche Box Me Comment Kare