मंगलवार, 24 मई 2016

Utare apni Jindagi me ye Bate



Hello Dosto,

Hum hamesha apne jiwan mai apne se choto ko kuch na kuch samjahate ya phir shikhate rahte hain ki galat or sahi kya hain. Hum unhe samjahate hain kisi se kaise baat kare, kaise Logo se mil julkar rahe, sab ki madad kare jaisi batate samjhate ya phir sikhate rahte hain. Lakin sawal yeh hain ki kya hum apne sath bhi un sab bato ko karte hain jo hum dusro ko shikhate hain shayad maximum logo ka jawab Nhi hoga. Kahte hain updesh dena bada aasan hota hain us updesh par amal karne se.  Ho sakta hain aap log meri is baat se agree na ho lakin niche di gai story padhne ke baad shayad aap apni soch badal de.



 “Ek baar ki baat hain Krishna naam ka ladka hota hain uski umar karib karib 6 years hoti hain. Us ke Mata Pita har raat ko use samjhate the ki kaise logo se baat kare, hamesha dusro ki madad kare, kisi se ladai na kare. Us ki maa bhagwan ki puja path karti thi or logo se bhi yehi baat kahti thi ki hamesha durso ki madad karni chahiyee. 
Ek baar vo apni maa ke saath baith kar TV dekh reha tha tabhi achanak ek bikhari un ke darwaje par aa kar kahta hain “Mata maine kai dino se khana nhi khaya hain mujhe kuch khane ko de do” uski maa kahti hain ki bhaag yeha se mere pass kuch khane ko nhi hain vo bikhari baar baar us ki maa se kuch khane ko mangta rahta hain lakin us ki maa har baar use bura bhala bolti rahti hain or kuch der baad vo bikhari veha se chala jaata hain. Or us ke kuch samay baad ek Sadhu veha par aata hain vo bhi un se kuch khaane ko maagta hain us ki maa ek dum se uth kar us sadhu ko apne ghar ke ander bulati hain vo use bhar pait khana khilati hain or sath mai unke parivar ke liye bhi khana daal deti hain or us ke baad vo sadhu veha se chala jaata hain.
 Yeh sab Krishna dekh reha hota hain or apni maa ko kahta hain ki Maa yeh to bahut galat baat hain aap ne us bikhari ko to bahut bura bhala bola or khana bhi nhi diya or in sadhu ko aap ne bhar pait khana bhi khilaya or unke parivar ke liyee khana daal kar diya. Aisa kyo kiya aap ne. Maa aap to hamesha kahti hain ki hame sab ki madad karni chahiyee to aap ne us bikhari ko khana kyo nhi khilaya. Us ki maa kehti hain hum jo bhi bolte hain vo sab kuch hum nhi kar sakte or use daat kar kahti hain jaa kar TV dekh le bahas mat kar mujh se. 
Ek baar us Pita ji or Krishna baat kar rahe hote hain tabhi unke pados ka ek bachha aa kar unke pita ji se Rs.100 maangta hain vo kata hain ki uncle mujhe Rs. 100 ki jarurat hain mujhe apni school ki fees jama karani hain please meri madadat kar do mere pass mummy ghar se bahar gaye hain is wajah se main apni fees time par bhar nhi paya hu please aap mere help kar do lakin Krishna ke pita ji mana kar dete hain or kahte hain ki unke pass paise nhi hain or vo bachha udas ho kar chala jaata hain. Usi sham ko kuch log Krishna ke ghar aate hain or unke pita ji se kuch chanda maante hain jab us ke pita ji ne pucha ki aap ko chanda kis liyee chaiyee tab vo log batate hain ki vo kisi bade minister ko apni society ke function ke liye bula rahe hain jis wajah se unhe kafi paiso ki jrurat hain us ke pita ji uth kar apni purse mai se Rs.1000 nikal kar dete hain or kahte hain ki agar aap ko or jarurat ho to un se maang le. Yeh sab Krishna dekh kar bahut naraj hota hain or apne pita ji se jaa kar puchta hain ki aap ne subhe us bachhe ko keha tha ki aap ke pass paise nhi hain or ab unhone in logo ko Rs. 1000 de diye. Us ke pita ji gussa ho jate hain or Krishna ko bahut sunate or kahte apni padhai kare apne room mai jaa kar. 
Is baat se Krishna bahut udas ho jaata hain or sochne lagta hain jo us ke Mata Pita or us ke teacher jo shiksha use dete hain use koi nhi maanta to us ka apne Mata Pita ki baat maanne ka kya fayeda. Agle din Subhe jab Krishna ki mummy papa use school jaane ke liyee kahte hain to vo school jaane se mana kar deta hain is baat se us ke pita ji bahut gussa karte hain vo Krishna se puchte hai tum school kyo nhi jana chahte tab Krishna unhe batata hain ki vo padh likh kar kuch nhi sikh paayega kyo ki waqt aane par vo bhi apne mummy papa ki tarah apni batai batao ko hi bhul jaayge or sab ko vo bhi vo baate bolega jo vo khud nhi kar sakta to agar use aisa hi karna hai to vo kyo padhe likhe or kyo apni mummy papa ki baat maanne. Is baat ko sun kar Krishna ke mata pita bahut sarminda ho jaata hain or Krishna se mafi maangte hain”.
Shayad is story se app samajh gaye hongee ki kisi ko shiksha dena bada aasan hota hain bajay usi shiksha par amal karna. Dosto agar app ko mera yeh blog pasand aaya ho to comment jarur kare or apne views bhi hamare sath share jarur kare.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Mai Aap Ki Madad Business Startup Karne ,Tally Ki Jankari Karne, or Entertainment ,Karne Me Karu Ga Agar Aap ko Koi Comment Karna Hai To Neeche Box Me Comment Kare

All Papuler Blog's